Pani Lay Aao

Irfan Haider

Jaan sakina ki jab aayi labo par
Sookha hua mashkiza layi wo muztar
Dekha badi aas se bacchi ne chacha ko 2
Daste adab jod k kahne lagi ro kar
Ye lo mashkoalam tumko meri kasam
Aao dila du mai izne shahe umam
Rakh lo sakina ka ye maan
Pani le aao ammu jaan 3

Hasrat hai yaas h iss darja pyas h
Kya meri pyas ka tumko ehsas h 2
Aayi labo pe ab ye jaaan
Pani le aao ammu jaan 3

Bacche tashna jigar baithe h nohagar
Pyas k chale h in sab k hotho par 2
Pyaso k tum ho nighebaan
Pani le aao ammu jaan 3

Alatash ki sada sunti h alakama
Sunte hai mashkize nauha sakina ka 2
Gar tumko pyaso ka h dhyaan
Pani le aao ammu jaan 3

Nazishe karbala tum ho fakhre wafa
Pyaso ki yaas ho phupiyo ki ho rida 2
Lillaha shere niyazdaan
Pani aao ammu jaan 3

Jao hafiz khuda misle khaibar kusha
Dariya ko kheench krr bhar lena mashkiza 2
Bazuye sayyade zeeshaan
Pani le aao ammu jaan 3

Wada nibhana h dariya pe jana h
Pani bhi lana h tumko bhi aana h 2
Tum mujhpe mai tumpe kurbaan
Pani le aao ammu jaan 3

(Sakina meri pyari sakina 2)

Sun kar bhatiji ki baat shere jari
Bola kurban h tum par ye jaa meri 2
Tum jo kahti ho meri jaaan
Pani le aao ammu jaaan 3

Mange mazhar dua rabbe khaibar kusha
Roze mahshar kahe tujhse khairun nisa 2
Nauha suna wohi irfaan
Pani le aao ammu jaaan 3

Lyrics Submitted by Arshad Raza

Lyrics provided by https://damnlyrics.com/