Rehmat Na Kis Tarha Ho

Hafiz Ghulam Mustafa Qadri

Rahamat Na kis Tarha ho Gunahgaar ki Taraf
Raheman Khud Hai Mere Taraf Daar ki Taraf







Jaane Jina Hai Daste Madina Teri Bahar
Bulbul Na Jaingi Kabhi Gulzar ki Taraf







Jannat Bhi lene Aaye To Chode Na Ye Gali
Muh Fhere Baithe Ham Teri Diwar Ki Taraf









Mehshar Me Aftaab Uthar Gar or Mai Idhar
Aakhe Lagi hai Daman e Diladaar Ki Taraf






Faila Hua hai Hath Tere Dar ke Samne
Gardan Jhuki Hui Teri Diwar Ki Taraf







Gar Beshumar Jurm ho Gar Be Adad Gunaah
Kuch Gam Nahi Jo Tum Gunahgaar ki Taraf








Yu Mujhko Maut Aaye To Kya Puchna Mera
Mai Khak par Nigah Dare Yaar Ki Taraf







Qabe Ke Sadqe Dil ki Tamanna Magar Ye Hai
Marne Ke Waqt Ho Dare Yaar Ki Taraf







Aahe Dile Aseer Se Lab Tak Na Aayi thi
Or Aap Daude Aaye Giraftaar ki Taraf







Dekhi Jo Bekasi To Unhe Rahem Aa Gaya
Ghabrake Ho Gaye Wo Gunahgaar Ki Taraf








Milti Hai Bheek Daudte Firte Aye Benawa
Dar ki Taraf Kabhi Kabhi Diwar Ki Taraf







Muh Uska Dekhti Hai Bahare Bahisht(Jannat)
Ki
Jiski Nigaah Hai Tere Rukhsar ki Taraf








Aankhe Jo Band Ho To Muqaddar Khule Hasan
Jalwe Khuda e Talib E Didaar Ki Taraf

Lyrics Submitted by Muhammed Humayu Raza Khan Qadri Azhari

Lyrics provided by https://damnlyrics.com/