Kaisay Bin Baazu

Hashim Sisters

Nauha KAISEY BIN BAAZU recited by HASHIM SISTERS in 2016-17.

Haye Abbas haye Abbas (...)

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Rokey kehti thi shah e dee se ye Zainab dukhiya

Tumko deti hoon qasam kuch to(2) kaho aye Bhayya

1) jab kabhi zeen se aye Bhayya koi girtaa hai
Apney haatho ka sahaara wo liya kartaa hai

Bass yehi sochkey phat'taa hai (2) kaleyjaa mera

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Rokey kehti thi shah e dee se ye Zainab dukhiya

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

2) kyu akeley ho nazar aati nahi parchaayii
Kya hua kyu ye alam qoon mey tarr bhai

Kuch to bolo na nikal jaaye (2) kahi damm mera

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Rokey kehti thi shah e dee se ye Zainab dukhiya

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

3) dasht e aalaam o museebat se dare baa baazu
Bhayya jab laaye ho gaazi ke bureeda baazu

Apni qaahar ko faqat aakey (2) bataado itna

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Rokey kehti thi shah e dee se ye Zainab dukhiya

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

4) sun rahii hoon ke bahaa zaqm se qoo ka dhaara
Baba hyder ki tarah sarr huwa paara paara

Kis tarah burz sitamgar ney (2) jabii par maara

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Rokey kehti thi shah e dee se ye Zainab dukhiya

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

5) saani e hyder e karrar wo almaas mera
Kitna majboor tha bin haatho ke Abbas mera

Haal batlaadey mujhey koi (2) damm e aaqir ka

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Rokey kehti thi shah e dee se ye Zainab dukhiya

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

5) bass yehi sochkey rotii hoon lahoo ke aansu
Jab qalam hogaye Abbas ke dono baazu

Pusht e rehwaar se maqtal mey (2) sar e karbobala

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Rokey kehti thi shah e dee se ye Zainab dukhiya

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

6) phir kaha rokey ye zainab se shah e waala ney
Jab terey baazu pas e pusht adoo baandhengey

Tujhko miljaayega us waqt (2) jawaaban Behna

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Rokey kehti thi shah e dee se ye Zainab dukhiya

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

7) aye hilaal ashq e lahoo rotey ali zaadi ko
Apney seeney se lagaaye huwey shehzadi ko

Boley maaham shah e dee poocho (2) na ab behrey qudaa

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Rokey kehti thi shah e dee se ye Zainab dukhiya

Kaisey bin baazu zamee par mera gaazi aaya

Lyrics Submitted by sobia ali

Lyrics provided by https://damnlyrics.com/