Mein Sab Se Bura Hoon Nigah-E-Karam Ho

Muhammad Mushtaq Qadri Attari

Sarapa khata hoon nigah e karam ho
Main sab se bura hoon hoon nigah e karam ho

Mujhe mangne ka saleeka nahi hai
Magar mangta hoon nigah e karam ho

Main kyoon dar badar thokarein khaoon ga kar
Main be assra hoon nigah e karam ho

Huzoor apse app ko mangta hoon
Faqeer app ka hoon nigah e karam ho

Kisi or se mujh ko nisbat nahi hai
Main sirf app ka hoon nigah e karam ho

Sarapa khata hoon nigah e karam ho
Main sab se bura hoon nigah e karam ho

Lyrics Submitted by LYRICS by Muhammad Bilal Qadri

Lyrics provided by https://damnlyrics.com/