damnlyrics.com

Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Le (Live Version)

Aaj ki baat phir nahi hogi

Aaj ki baat phir nahi hogi

Aaj ki baat phir nahi hogi

Yeh mulaqat phir nahi hogi

Aise baadal toh phir bhi aayenge

Aisi barsaat phir nahi hogi

Raat unko bhi yun hua mehsoos

Jaise yeh raat phir nahi hogi

Ek nazar mud ke dekhne waale

Kya yeh khairaat phir nahi hogi

Yeh jo deewane se do chaar nazar aate hain

Inmein kuch sahib-e-asrar nazar aate hain

Teri mehfil ka bharam rakhte hain, so jaate hain

Warna yeh log toh bedaar nazar aate hain

Mere daman mein toh kaanto ke siwa kuch bhi nahi

Aap phoolon ke kharidar nazar aate hain

Hashr mein kaun gawaahi meri dega, saaqi

Sab tumhaare hi taraf-daar nazar aate hain

Chaandni raat, yaad laati hai

Woh mulaqat yaad aati hai

Dekh kar un ghani zulfon ko

Mast barsaat yaad aati hai

Aankh uthi, lo woh aankh uthi

Zra bach ke chalna, sanam, sanam lo

Aankh uthi, lo woh aankh uthi

Tirchi nazron se na dekho aashiq-e-dilgeer ko

Kaise tirandaz ho, seedha toh kar lo tir ko

Jidhar uth gayi hai aahatein hain

Chashm-e-bad-door kya nigaahein hain

Jidhar uthai nazar, qatal-aam tumne kiya

Ankh uthi Mohabbat ne angdaai li

Dil ka sauda hua chaandni raat mein

Unki nazron ne kuch aisa jaadu kiya

Lutt gaye hum toh pehli mulaqat mein

Sharab seekh mein daali, kabaab sheeshe mein

Aisa jaadu kiya unki nazron ne

Bhot tadap kar, boht tadap kar unki jaanib dil gaya

Dekho aisa jaadu kiya unki nazron ne

Hum hosh bhi apne bhool gaye

Imaan bhi apna bhool gaye

Waqt dil hi nahi us bazm mein hum na jaane kya kya bhool gaye

Jo baat thi unko kehne ki, woh baat hi kehna bhool gaye

Gharon ke basane yaad rahe, hum apna khazana bhool gaye

Kya kya nigaahein yaar mein taaseer ho gayi

Bijli kabhi bani kabhi shamsheer ho gayi

Aisi mili hai ab nazar is nazar ke sath

Sab chhodne pade hain humein umr bhar ke sath

Mehfil mein baar baar unhi par nazar gayi

Humne bachai laakh, magar phir udhar gayi

Unki nigaahon mein koi jaadu zaroor tha

Jis par padi, usi ke jigar mein utar gayi

Lyrics Submitted by Syed

Enjoy the lyrics !!!