damnlyrics.com

Agar Kamli Wale Ki Rehmat

Agar kamli wale ki rehmat na hoti

Toh ham gham k maaro ka Kya hota

Rasule e khuda ﷺ ka Sahara na hota

Toh ham besaharo ka Kya haal hota

Wo aaqa wo maula wo daata hamare ﷺ

Khuda e pyaare KHUDA k dularae

Mohammad ﷺ jo dhukiyo k hami na hoote

Toh ham bekraro kya haal hoota

Na ye phool khilte na kaliya mahekti

Na ghulzar haste na galiya mahekti

Nabiﷺ k pasine ki khushbu na hooti

Toh dil kaash baharo ka kya haal hoota

Mohammad ﷺ ka jalwa h jalwa khuda ka

Mohammadﷺ ka parda h parda KHUDA ka

Agar aapﷺ aa jaate parde se bahaar

Toh fir chaand taaro ka Kya haal hoota

Agar mil gai mujko raahe madina

Mohammadﷺ ka nakshe kadam chum lugi

Akidat se kaaba Mai sar jhuka kar

Nigaho se baabe haram chum lungi

Meri zindigi sirf ishq e nabiﷺ h

Jo gham mujko issme mile wo khushi h

Issi gham ki raaho Mai aakhe bicha kar

Mai palkho se khaake haram chum lungi

Lyrics Submitted by Fiza shafeeq khan

Enjoy the lyrics !!!