Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga

Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baateinAise bolo ki dil ka afsana, dil sune aur nigaah dohraaye
Aise bolo ki dil ka afsana, dil sune aur nigaah dohraaye
Apne chaaron taraf ki yeh duniya, saans ka shor bhi na sun paaye
Na sun paaye
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baateinAayiye band kar lein darwaaze, raat sapnein chura na le jaaye
Aayiye band kar lein darwaaze, raat sapnein chura na le jaaye
Koi jhonka hawa ka awaara, dil ki baaton ko uda na le jaaye
Na le jaaye
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baateinAaj itne kareeb aa jao, dooriyon ka kahin nishaan na rahe
Aaj itne kareeb aa jao, dooriyon ka kahin nishaan na rahe
Aise ek doosre mein gum ho jaaye, faasla koyi darmiyaan na reh jaaye
Na reh jaaye
Aur aahista kijiye baatein, dhadkanein koyi sun raha hoga
Lafz girne na paayein hothon se, waqt ke haath inko chun lenge
Kaan rakhte hain yeh dar-o-deewaar, raaz ki saari baat sun lenge
Aur aahista kijiye baatein
Songwriters
PANKAJ UDHAS, ZAFAR GORAKHPURIPublished by
Lyrics © Universal Music Publishing Group