damnlyrics.com

Allah Bohat Bara Hai

Sub Na yahi kaha hai Allah Bohat bara hai

Quran main likha ha Allah bohat bara hai

Adam na ankh kholi to Aarsh par ye dekha

Namay Khuda ye cham kar cham cham chamak raha tha

Huran ho gaya tha jis se Wajood unka

Yeh dekh ka hi tarpa jo bay Sujood unka

Ye kehka sar jhuka hai Allah boahat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Tufaney Nooh Aya Zeruh ko mitaya sarkash jo ho gaye tha un

Ko maza chikhaya

Kashti pe jo chari thi wo zaat hi bachi thi

Joondi pahar se jub kashti wo ja lagi thi

Bola ye jo bacha ha Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Apas ki yeh Raqabat Duniya ka ye jhamella

Quyain main bhaiyon ne bhai ko hai dhakella

Jibreel ko mila jub yeh hukum ke diryai

Quyain main a ka foran Yousuf ki jaan bachai

Sub ko bacha raha ha Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Baitey ki hijar main kyu Yaqoob ro raha tha

Ro ro ka apni aankhain bekar kho raha tha

Bata mila jo unko Dill ko saroor aya

Bayjaan putliyon main jaise hi noor aya

Dill has ke keh utha hai Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Bekar ho gai thi NaMarood ki Khudai

Hazrat Kaleel ka toh kuch bhi jala na pai

Takleef se bhal wo pehlu bhi kyu badalta

Kya aag woh jalati kaise bhala woh jalta

Jub Wirrd ho raha hai Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Allah pak kaise kaise tu aazmaye

Ek baap apna beta pe kyu churri chalaye

Masoom se gala pe lakin chali churi bhi

Saabit Qadam tha beta le thi na jhurJhuri Bhi

Wo bhi to janta hai Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Payasa Tarap reha tha ek maa or ek bacha

Beychainyon ka allam Pani kahin nahi tha

Parwardigara Alam ko unpe Reham aya

Bacha ki Aariyon ne wo Mojza dikhaya

Zam Zam Nikal raha ha Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Yonus Nabi Ko tuna kis imtayhan mein dala

Machli ke peet se phir hai kis tarha nikala

Paani ki teh main jinko machli nigal ka bhagi

Saahil pe ayai ake unko Ugal ke bhagi

Sacha ye waqia hai Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Ayub ka bhi koi ye hosla toh dekha

Saray badam me unka Kiiray para hua tha

Is haal ma bhi unse se zikrey Khuda na chuta

Bandhan ye aazmish ka khud ba khud hi tutta

Shaitan bhi jaanta hai allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Feron se yeh kahdo ab hoosh mai wo aye

Musa Kaleem ko wo Mardood na sataye

Duniya ko wo dikhata reh jaye ga khudai

Kucha bhi na kar sakey ga usko Kazah jo ayai

Wo kyu ye bhool ta hai Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Maryum ka ladla ko duniya samaj na pai

Pakeezgi pa unka ilzam tak lagai

Issa ki kooom tujhko is ka kahan pata hai

Chottha falak pa unko Maula utha chuka hai

Sulli pe dusra ha Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Ashabey Feel Aya ghar torney Khuda ka

Hathi ki fooj le kar zalim wo a gaya tha

Ayain jo abaBeely sub khaak hogaya tha

Jal kar tamam lashkar khud khaak ho gaya tha

Bekar to ara ha Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Hardam negah rakhna uski anayaton par

Jaaney wo kab badal de bigra hua muqaddar

Mayusiyan buri ha is kay mazay na chakna

Wo surkhuroo Karay ga Emaan is pa rakhna

Ye moalmustafa hai Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Kar wo bala ki yun toh Mashuur hai sahadat

Kya janti hai duniya us khoo ki qadr Keemat

Qurban ho gaye tha Islam pa bahatar

Mamool to nahi tha hazrat Hussain ka Sarar

Kat kar bhi keh raha ha Allah bohat bara Hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Saad Shukriya thumara Aqa Shahay Madina

Sikhladiya hai tum ne Duniya main hum ko jeena

Mill Jull ka sath rehna apas ki yeh muhabbat

Sarkar ka Karam hai Sarkar Ki innayaat

Hum ko sikha diya ha Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Jungle main beaba main darya main paharoon main

Jalwa ussi ka roshan gulshan main baharoon main

Meri nasihaton ko moti samajh ke chun lo

Taqat agar ha tumme sunna tum bhi sunnlo

Har zarra keh raha hai Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Tu baqr ho Umar ho Usman ho Kai Haidar

Islam ka mujhahid karbal ka wo bahhatar

Raha Khuda main ghar kiya hai jaan tak luttai

Peysha nazar thi unka Allah ki barai

Har shaksh janta hai Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Yuhi raha Saroon pe teray Qaram ke saaye

Har aan apnay bandon ki aabru bachaye

Neeha ki abroo bhi mehfil main aj rakhla

Ye dil nashe ka seedha ha is ki laaj rakhle

Safi jo likh raha ha Allah bohat bara hai

Subne yahi kaha ha allah bohar bara ha

Allah bohar bara hai Allah bohar bara hai

Report a problem

Lyrics Submitted by Qamaruddin

Enjoy the lyrics !!!