damnlyrics.com

Aur Phir Shaam Aagaya

Karb o bala se loat ke aaya jo qafla

Qabr e Nabi pe matam e Shabbir jab hua

Zainab ne baal kholay Nabi ke mazaar par

Boli luta ke aayi hoon jangal may saara ghar

Aray Nana

May roti rahi mera ghar ujrra tera deen bacha Nana

Laikin meray Hussain ne waada nibha diya

Hussain ya Hussain ya Hussain (x3)

Nana teray sheher se chala

Zehra ka laadla Deen ke kaam aa gaya

Salaar e qafla ban gaya beemar natawan

Aur phir Shaam aa gaya

Raahon ke sangrezon ne pursa diya usay

Haey Nana Shaam walon ne baaghi kaha usay

Aey deen ke badshah teray is mazloom laal par

Ye bhi ilzaam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya

Nana teray sheher se....

Aey Nana baazuon may jab baandhi gayi rasan

May ro parhi to naize se bolay Shah e zaman

Aey behna gham saho har gharhi ummat ke wastay

Sun ke aaram aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya

Nana teray sheher se....

Nana bataoon kaise may kiya ho gaye sitam

Kufay ke dar pe jaise hi pohonchay aseer e gham

Abid ke lab hilay dekh kar Muslim ki laash ko

Lab pe Ash-Shaam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya

Nana teray sheher se....

Waan ik Yahoodi rehta tha Bahya tha jis ka naam

Wo kalma parrh ke chaadarain le aaya khush kharam

Phir chadarain chini phir wohi behurmati hui

Sabr phir kaam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya

Nana teray sheher se....

Koofay may ham jo aa gaye beparda noha gar

Kehta tha Koofay walon se ye shimr e bad gohar

Hakim ko do khabar laya hoon naizon pe sab ke sar

Lenay in-aam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya

Nana teray sheher se....

Abid ko aa ke Khooli ne gham ki khabar ye di

Hakim ke samnay abhi peshi hay aap ki

Nana ye saneha aap ke sadaat ke liye

Ban ke kohraam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya

Nana teray sheher se....

Beghairaton ke shahr may sadaat aa gayay

Pohonchay jo dil ko thaam ke haakim ke saamnay

Aey Nana us gharri aik ik bibi ke zehn may

Tera zarghaam aa gaya

Aur phir Shaam aa gaya

Nana teray sheher se....

Wo batain likh saka hi nahi Mazhar Abidi

Jo keh rahi thi Nana se beti Batool ki

Aey Nana meray dard ka Irfan hay jisay

Aray ansoo na ruk sakain gay kabhi us ki ankh se

Jab Shaam pohoncha qafila - haey haey haey

Sadaat may kohraam tha - haey haey

Pathar bhi lagay, sau zakhm sahay

durray lagay, tanay sahay

Sab hanstay rahay, ham rotay rahay

Bas haey Hussaina kehtay rahay

Hussain ya Hussain ya Hussain (x3)

Lyrics Submitted by A.kay

Enjoy the lyrics !!!