damnlyrics.com

Bahar Ayi Gulistan Main

Bahar aai gulistan me Muhammad jab yahan aaye

magar joon hi muahammad gaye tou haalat e khizaan aaye

ye dunya rab ki naafarma nion se thi bhout sunsaan

khuda ki dushmani par hi utar aaye the sub insaan

karam khaaliq ne farmaaya Nabi aakhir zamaan bheja

ye ummat laadli thi is lye shaahe shahaan bhejaa

Nabuwat se qabal hi Mustafa kuch is tarah rehte

ke sub Kuffar Makkah aapko saadiq ameen kehte

kiya elaan jese hi muhammad ne nabuwwat ka

kiya kuffar makkah ne zahoor apni adawat ka

Siwaa e chand piyaron k jinhone aap ko maana

Khuda ke baad sub se ziyada afzal aap ko jana

jo eemaan laate jaate the Sahaba bunte jaata the

Muhummad ke fiddai be Muhaaaba bunte jaate the

Sahaba ko dilon jaan se jo Chaahat aap se hoti

Na biwi se na bachon se na hi maan baap se hoti

nabi ko dekhne me agar zara taakheer hojati

Nazar dilgeer hojati thi dil ki aankh rojaati

Sahaba ko gawaara dil se thaa sooli pe charh jaana

tasawwur me na aata tha nabi ko sui chubwana

paseena aap ka unke lye unbmer se barh kar tha

paseena to paseena bol bhi unka muattar tha

Sahaba aap ke deedar se har giz na thakte the

magar wo baa adab rehte the Hazrat ko na tukte the

ishaare par wo apni jaan tk qurbaaan kardete

lagaakar jaan ki baazi adaa farmaaan kardete

garaz inke lye zaat e Nabi shamme hidayat thi

ragon me khoon hubbe Mustafa hi ki sarayat thi

isi hi kefyat me raat din sarshaar rehte the

sub hi mast e sharaab ulfat e sarkaar rehte the

achanak aagayi pyaare nabi ki aakhri gariyan

zameen o aasmaan ki aankh se jaari hui lariyaan

khuda ne apne pyaare ko jo apne paas bulwaya

Sahaba ke dilon par aik dard angez haal aya

Sahaba sub tarap uthe lagi aik chot si dil par

ke parwaano ki bhuj gayi shamm e aur rukhsat hua dil bar

Madine ki fizaae hi badal gayi esa manzar tha

thaa aansoo aankh se bahar tou shola dil ke under tha

abu bakar o umar usman o haider subke sub gamgeen

Karam rukhsaar e faisal ke tapakte ashk the numkeen

umar talwaaar apni sont kar kehne lage nadan

jo bolega Muhammad chal base gardan uraadoga

Nabi ke dard furqat se hua usmaan par sakta

haqeeqat he koi aashiq judaai seh nhi skta

muslasal rorhe hazrat ali apne muhammad par

halaq me hogayi awaaz unki bund ro ro kar

chali baad e khizza esi k gulshan hogaya weeran

hua rukhsat gul e akhir k subko kargaya heraan

k jiski nighaten aansoon lagi aane koi bulbul

tarana gaa ke gulshan ko jo rukh deta zaki bilkul

nabi ka mirsia us ne sunakr dil ki aah saakit

yahi bulbul hai jiska naam he Hassan bin Sabit

Muhammad jab se gaye hen neend aati hi nhi hum ko

Ghum e furqat me koi cheez bhaati hi nhi hum ko

hamari jaan e jana ne hume chohra he uff Allah

Rukh e Suhbat dil e gumgeen se mora uff Allah

Sarapa ashk bun kar me Qabar me unki beh jata

gubaar e turbat e Ahmad ko me aankhon me sehjata

Mere Maan Baap hon Qurban Unki sub adaaon par

Na hota kaash paida yaa bikhar jata fizaaon pr

ye kesi aazmaaish he hamara ang ang tarpaa

Qayamat se qabl hum pr qayamat hogai barpaaa

me jis pe rorahaa hoon aah wo ik esi hasti he

k jiske dekhne ko aankh hum sabki tarasti hen

Tabiat kitni paakiza thi aadat kitni achi thi

adaaen kitni pyari aur baaten kitni sachi thi

Munawwar the sarapa Mustafa Noor e hidayat se

k Amma Aamna bhi khush Muhammad ki seaadat se

Tarapta he Machalta he ye dil be chen he behad

khuda jannat me bhi dedena humko suhbat e Ahmad

haamare baad waale aazmaaish ye na paaege

koi bhi imtihaan ho ab wo humko yaad ayege

hume izzat mili unki badaulat hi hidayat bhi

un hi ke faiz se har aan hi hoti thi nusrat bhi

ilaahi rehmat e kaamli hamare Mustafa par ho

ilaahi rehmat e kaamli hamare Mustafa par ho

hamari jaan bhi Qurban pyare Mustafa pr ho

Hame bhi de Khuda Taufeeq Unka kaam Karne ki

Ujagar dil men apna aur Unka Naam karne ki

Sawali hum khudaya aaj hain teri hidayat k

Osama aur anas mohtaaaj hyn teri hidayat K

Sawali hum khudaya aaj hain teri hidayat k

Osama aur anas mohtaaaj hyn teri hidayat K

Lyrics Submitted by Muhammad Talha

Enjoy the lyrics !!!