damnlyrics.com

Bhaiya Sajjad

Ruksat say Kuch dair pehlay Akbar ko yad aii sugra

Kehnay lagay ro k Akbar sahjad k pass ja karr

Sun lo wasiyat brather

Sun lo wasiyat brather

Bhaya Sajjad sugra say ja k kehna

Main aany wala tha sughra

Phir nennawa Main nikal aya Aftab e dehan

Gareeb tha k rafeqon say bolay shah e umam

Yaheen mazar banin gay yahin pey soin gay hum

Gareeb e Zahra ko gharay hoye hain ahle setam

Sugra say ja k kehna main isliye na aya

Phir dey diya meray baba ney mje huqmain Azan

Údar musalay pey mehwe buka bhuphi or maa

Kamar hussain ki sadmon say ho chuki thi kama

Zara sii dair main lashon say saj gaya maidan

Sugra say ja k kehna main isliye na aya

Bayak bayak Meri aankon ney dekha ye manzar

Chalay furat ki janib puphi k lakhtat Jigar

Chacha k pass ghari hy sakina tashna jigar

Kamar main patka sajae hain Qasim e muztar

Sugra say ja k kehna main isliye na aya

Phir main ney dekha shah e Karbala hy mehwe buka

Sabab Jo ronay ka pocha tu bolay wa wela

Hussain zulm k jangle main reh gaya tanha

Main lut gaya Mera ghazi dalaer mara gaya

Sugra say ja k kehna main isliye na aya bhaiya Sajjad

Phir muj say baba ney Kaha ay Noor e Nazar

Akhi ki lash uthani hy Tum Chalo ley kar

Chacha k bad hi chalta hussain pey khanjar

Main aaisay waqt main aata watan agr khawahar

Sugar say ja k kehna main isliye na aya

Phir bad e qatle alamdar e Karbala dekha

Ghira hy zulm k nargay main ibne shere Khuda

Tu hi bata k nibhata main kis tarhan wada

Uder behn ki muhabay idr tha farz Mera

Sugra say ja k kehna main isliye na aya bhaiya Sajjad

Lyrics Submitted by Syeda Madiha

Enjoy the lyrics !!!