damnlyrics.com

Jaa Rahi Hai Dulhan

Sath uske kis liye koi saheli jayegi

Dekhna dulaha ke ghar dulhan akeli jayegi

A gaye leke chanda ki doli sajan-2

Dekh rote hain maa baap bhai bahan

Jaa rahi hai dulhan-13

Poori maa baap ke dil ki hasrat hui

Ghar se beti ko jis tarah rukshat hui

Muh chhupakar barati bhi rone lage

Haay dulha ke sathi bhi rone lage

Maa ka mamta bhara dil machalne laga

Gam zudai ka ankhon me dhalne laga

Kal ye usko khushi thi sagai hui

Aaj gam hai ki beti parai hui

Har saheli ki anklhiyan barasne lagin

Kitni yaaden khayalon ko dasne lagi

Bhul kar chahten pandaraha saal k -4

Ho gai ek sakhi aaj sasural ki-2

Shurkh jode me hai wo salona badan-2

Ya libase wafa me haya ki kiran

Jaa rahi hai dulhan -8

Koi dekhe suhagan ki ye rukhsati

Haiy maasum dulhan ki ye rukhsati

Sar pe kaliyon ka sehra sajaye huye

Dil me bachpan ki yaaden chhupaye huye

Chhod kar apna gam aur apni gali

Dekho ashko ka sona lutati chali

Gam hai lado ko aj apna aangan chhuta

God amma ki baba ka daman chhuta

Jaaye ghar se dulhaniya ye dastoor hai

Fir bhi dil uska rone pe mazboor hai

Kazra aankhon se baih baih ke girne laga -3

Pyar beeran ka nazaron me firne laga -2

Kaise bhulegi apna mahekta chaman -2

Bhaiya bahena ki hai dil me kitni lagan

Jaa rahi hai dulhan -8

Ghar pe shouhar ke chaana mubarak tujhe

Ye khushi ka tarana mubarak tujhe

Hai ye har ek dil ki dua khush rahe

Apne sasural me tu sada khush rahe

Wakt ki har khushi tere daman me ho

Pyar ki roushani tere aangan me ho

Ye dua zindagi ka sahara bane

Aur too sabki aankhon ka tara bane

Apne dulaha ki chahat bhi tujhko mile

Us gharane ki ulfat bhi tujhko mile

Yaad rakhna ye hum sab ke jazbaat hain -3

Baap maa ki duayen tere sath hain-2

Gam na kar chhut raha hai jo tera chaman-2

Apni duniya ka hai ye purana chalan

Jaa rahi hai dulhan -8

Lyrics Submitted by Deepu Dubey

Enjoy the lyrics !!!