damnlyrics.com

Jaise Pinjre Main

sabr kaise ho rehan o sarwar

hum to aaye hai khud shaam hokar

aaj bhi shaam dhalti hai jab bhi

eik sada kattee hai kalejaa

aao baba jaan...

jaise pinjre mein ho koi panchi

aise zindaan mein hai sakina...2

kabhi amma ke pehloo me rona

kabhi bhaiya se apne lipatna

kabhi takrana deewaron darr se

kabhi zindaan ke darr par yeh kehna

aao baba jaan...

jaise pinjre mein ho koi panchi

aise zindaan mein hai sakina...2

aise takrati phirti thi bachchi

jaise pinjre mein zakhmi ho panchi

kaise sare kafas tod dale

ho rihayi ka koi qarina

aao baba jaan...

jaise pinjre mein ho koi panchi

aise zindaan mein hai sakina...2

maut se pehle aa jao baba

yeh sakina pe ahsan hoga

baad mere na baba yeh kehna

maine tumko pukara nahi tha

aao baba jaan...

jaise pinjre mein ho koi panchi

aise zindaan mein hai sakina...2

aye fufi ab mera dil hai kehta

mujhko mil jayega mera baba

dadi zehra ki mano kahani

mil gaya tha sunarann ka beta

aao baba jaan...

jaise pinjre mein ho koi panchi

aise zindaan mein hai sakina...2

Lyrics Submitted by SYED ZAYED ABBAS (TOUQIR) S/O:SYED WAHAB ABBAS

Enjoy the lyrics !!!