damnlyrics.com

Marke Apni Adaon Pe

Mar K Apne Hi Aadaun Pay Lyrics

Mar kay apni hi aadaun pay amar ho jaun

Unki dahleez kay qabil main agar hoo jaoon.

Zindagi nay to samandar main mujhay phenk diya

Apni muthi main wo lay lain to gohar hoo jaun.

Mera mehboob hai woh rah bare kono makan

Jis ki aahat bhi mein paloon to Khizar ho jayoon.

Zarab dun khud ko jo un say to lagun la tadaad

Woh jo mujh main say nikal jayein sifar hoo jaun.

Jo puhanchti rahay un tak jo rahay mehwe tawaf

Aisi awaz banun aisi nazar hoo jaun.

Is qadar ishq e Nabi hoo kay mita doon khud ko

Is qadar khouf e Khuda hoo k nidar hoo jaun.

Aarzo ab to Muzaffar jo koi hay to yee hay

Jitna baqi houn madinay main basar ho jaun.

Lyrics Submitted by Syed Muhammad Rashid

Enjoy the lyrics !!!