damnlyrics.com

Na Lashkare Na Sipahi

Na lashkare na sipahe na kasratunnase

Na lashkare na sipahe na kasratunnase

Na Qasime na Ali Akbare na Abbase

Bawaqte asr ye poocha kisi ne maula se

Wo kya hue jo na bar aazma the aada se

Ek aah nikli ye sunkar dile shikasta se

Kahaa ke haye wo sab qatl ho gaye pyaase

Na lashkare na sipahe na kasratunnase

Na Qasime na Ali Akbare na Abbase

Nahi hai koi ab apna Hussain akela hai

Rasoole haq ka nawasa Hussain akela hai

Jaha me dilbare Zehra Hussain akela hai

Najaf se aayiye baba Hussain akela hai

Na lashkare na sipahe na kasratunnase

Na Qasime na Ali Akbare na Abbase

Raha na koi bhi Maula ka muniso yawar

Shaheed ho gaye Maula pe Muslimo Jafar

Habeeb Ibne Mazahir na Ausja ka pisar

Na ab Hussain ke ashab hai na lakhte jigar

Na lashkare na sipahe na kasratunnase

Na Qasime na Ali Akbare na Abbase

Qareeb Shah ke Zainab khadi hai khakbasar

Gala jo bhai ka chooma to ro diye Sarwar

Diya Hussain ne bosaa bahan ke bazoo per

Bahan ne bhai ko rukhsat kiya hai ye kah ker

Na lashkare na sipahe na kasratunnase

Na Qasime na Ali Akbare na Abbase

Ghazab ka farq numaya hai aaj aur kal me

Chupa hai Fatima Zahra ka chand badal me

Ghiri hai Aale Nabi Karbala ke jungle me

Ali ka laal hai zakhmo se choor maqtal me

Na lashkare na sipahe na kasratunnase

Na Qasime na Ali Akbare na Abbase

Ye waqt wo hai ke Sughra ka namawar pahucha

Utha ke haath Madine ke simt Shah ne kaha

Safar tamaam hua alwida hai aye Sughra

Bataaoo kya tujhe tere musafiro ka pata

Na lashkare na sipahe na kasratunnase

Na Qasime na Ali Akbare na Abbase

Sitam hai Karbobala hai Nabi ki itrat hai

Naseebe Aale Abaa bekasi hai ghurbat hai

Siyah aandhiya udti hai kya qayamat hai

Aur bus Hussain hai aur manzile shahadat hai

Na lashkare na sipahe na kasratunnase

Na Qasime na Ali Akbare na Abbase

Lyrics Submitted by Aadil

Enjoy the lyrics !!!