damnlyrics.com

Nigahen Chura Kar

Nigahein Chura kr oo jany waly munasib nhi ye sitam chalty chalty

Zra apni uthti jwani ka sadqa, idhr bhi nigah e karam chalty chalty

Chly aay thy aj uski gali se, yhi soch kr phr na jain gy lekin

Jo pechy se us bewfa ny pukara wahein ruk gay thy qadam chalty chalty

Na tana zani kr meri meh kashi pr, zra poch apni nasheli nazar se

Khata gr nhi teri nazron ki zalim, to kion larkhray qadam chalty chalty

Likha khatt kisi ko mukhatib koi tha, mgr barha esa aalam bhj guzra

Khyal aa gya jis ghari jab tumhara, wahi ruk gya phr kalam chalty chalty

Raqeebon se milna hamein bhool jana, kahan ka ye insaf ha oo sitam-gar

Kro yad wo din k hum se wafa ki jo khai thi tum ny qasam chalty chalty

Kia tha jo wada nibhain gy Sajid, yhi to ha dastoor ehl e wafa ka

Hatein hain na rahe wafa se hatein gy agarchy nikal jay dam chalty chalty

Lyrics Submitted by M Haashir Rasheed

Enjoy the lyrics !!!