damnlyrics.com

Qaidi Hoon Main Baba Jaan (feat. Ali Shanawar)

Qaidi hoon main baba Jaan...

Haye qaidi hoon main baba jaan

qaidi hoon main baba jaan*2

Ab shahzadi kahan... *2

Qaidi hoon main baba jaan..

Ab shahzadi kahan... *2

Haye qaidi hoon main baba jaan

1- Na apna vo ghar hai, na apna madeena*2

Vo baahen chcha ki tumhara vo seena

Bolo khudara tum ho kahan main kahan

qaidi hoon main baba jaan

Haye qaidi hoon main baba jaan

2- jis din se tumse juda ho gai hoon*2

Dekho to baba main kya ho gai hoon

Ujda makaan hai rehti hoon ab main jahan

qaidi hoon main baba jaan

Haye qaidi hoon main baba jaan

3- kehti na thi dekho na jao baba*2

Taras khao mujh par taras khao baba

Tum kya gaye ho mujh par gira aasmaan

qaidi hoon main baba jaan

Haye qaidi hoon main baba jaan

4- jaise he naize pe tum aaye baba*2

Maine tamache bahot khaye baba

Rukhsaar par hain abhi tak sitam ke Nishan

qaidi hoon main baba jaan

Haye qaidi hoon main baba jaan

5- maanga kaneezi me baba kisi ne*2

Fainka meri simt sadqa kisi ne

Paidal chali hoon kaanton ke main darmiyaan

qaidi hoon main baba jaan

Haye qaidi hoon main baba jaan

6- milne ko Humse chale aao baba*2

Ik baar chehra dikha jao baba

Haye pyare baba phir hum kahan tum kahan

qaidi hoon main baba jaan

Haye qaidi hoon main baba jaan

7- chalo Shaam chalte hain rehan o sarwar*2

Vahan dekhna kya hai chehlum ka manzar

Bibi sakeena karti hain ab tak fughan

qaidi hoon main baba jaan

Haye qaidi hoon main baba jaan

Ab shahzadi kahan.*3

Lyrics Submitted by Syed javed husain zaidi

Enjoy the lyrics !!!