damnlyrics.com

Rukh Pe Bikhri Hain Zulfein Sanwaro

Yaro kisi ke dil se kabhi pyar na mango, or apne hi gale ke liye takwaar na mango. Husn walo me mohabbat ki kami hoti hai, or chahne walo ki takdeer buri hoti hai. Yahi to haseeno ki aadat hi buri hai, ke mohabbat hai dil me or bagal me chhuri hai. Ye zaminn pe rehkar falak par qayam karte hai, or katake ungli shaheedo me naam karte hai.

Inhe na teero-talwaar ki zarurat hai, or shikaar karne ko kaafi nigah-e-ulfat hai. Inhi ke maare hue hum bhi to hai zamane me, hai 4 lafz mohabbat ke is fasane me.

Rukh pe bikhri hai zulfe sanwaro-2, chaand badly me jachta nahi hai-2.

Jisne dekha ho jalwa tumhara-2, maara jata hai bachta nahi hai-2.

Rukh pe bikhri hai zulfe sanwaro, chaand badly me jachta nahi hai.

Ye jawani shabaab or ye raate.n, be naqab ana acha nahi hai-2

Kyu ki mehfil ye diljalo ki-2, yha kisi ka bharosa nahi hai.

Rukh pe bikhri hai zulfe sanwaro, chaand badly me jachta nahi hai.

Ishq jitna bhi kijiye kamm hai, iska koi kinara nahi hai.

Iska agaaz to khushnuma hai, iska anjaam achha nahi hai.

Rukh pe bikhri hai zulfe sanwaro, chaand badly me jachta nahi hai.

Uski rehmat ne sabko jhanjoda, shams tabrez ko bhi na chhoda.

Uski rehmat sabko jhanjoda, shams tabrez ko bhi na chhoda-2

Chadhke sooli pe mansoor bola, Ishq hai ye tamasha nahi hai.

Rukh pe bikhri hai zulfe sanwaro, chaand badly me jachta nahi hai.

Takte aaye ho or takk rahe ho, Or khuda jaane kab tak takoge,

Takkte aaye ho or takk rahe ho, Or khuda jaane kb tak takoge-2

Tumne maashoq hi maashooq dekhe-2, apne aashiq ko dekha nahi.

Rukh pe bikhri hai zulfe sanwaro, chaand badly me jachta nahi hai.

Baad marne ke meri lehed par, aake kehne lage muskurakar-2

Uthke ab to gale se laga lo, mere chehre pe parda nahi hai.

Rukh pe bikhri hai zulfe sanwaro, chaand badly me jachta nahi hai.

Ye bugz ye hasad ye adat nahi achhi, keena nahi acha ye kudoorat nahi achi.

Bedaar hai ye husn ki dolat nahi achi, or dil saaf nahi hai tw mohabbat nahi achhi. Kyu ki mehfil ye diljalo ki, yaha kisi ka bharosa nahi hai.

Rukh pe bikhri hai zulfe sanwaro, chaand badly me jachta nahi hai.

Jisne dekha ho jalwa tumhara, mara jata hai bachta nahi hai.

Lyrics Submitted by Md Asim Alig

Enjoy the lyrics !!!