damnlyrics.com

Sabeel E Hussain

Ao ao sabile hussain pr zehn mai krbala k hon pyasay

Naame asghar pay paani pilao (2)

Hongay khush mustafa k nawasay

(1)Karbala mai jo tha band paani

Yai sabilain hain uski nishani

Alatash ki sadain musalsal ho sakina ki tashna dehani

Uski tashna labi yaad rakhna(2) pyasay bachon ko dena dilasay

(2)yadgare shahe karbala hai

Iska saaki wafa ka khuda hai

Yai jo mashko alam dekhtay ho aj tk yai wahi silsala hai

Saamnay alqama beh rhi thi(2) or aale muhammad thay pyasay

(3)dhoondta phr raha hai yai paani

In sabilon pay apni rawani

Tor kr sahibe alqama ko krta rwhta hai ab noha khuwani

Usko sharmandgi aaj bhi hai(2)

Is qadar syeda fatima say

(4)alatash ki sadaa yaad rakhna

Yaad rakhna sakina ka kooza

Yaad rakhna wo mashke sakina bharnay aya jo darya pay saqqa

Teer mashke jari pay laga jab(2)

Beh gye uskay armaan saray

(5)yai sabile hain jo bhi lagatay

Or pyason ko paani pilatay

Unsay khush murtaza mustafa hai fatima ki dua hain wo patay

Jaam paani ka peenay yahaan par(2)

Anbiya or malaik hain atay

(6)yai sabilon ka jo silsila hai

Yai bhi sarwar ka ik mojiza hai

Bakhuda hamnay salmano mesum in sabilon pay maangi dua hai

Yai sabiilen hussain ibne haider(2)

Jayen hhn karbala mai laganay

Enjoy the lyrics !!!