damnlyrics.com

Taare Zameen Par

Dekho Inhein Yeh Hain Aas Ki Boondein

Patton Ki God Mein Aasmaan Se Koodein

Aandayee Lein Phir Karwat Badal Kar

Nazuk Se Moti Hans De Phisal KarKho Na Jaaye Ye Taare Zameen ParYeh To Hain Sardi Mein Dhoop Ki Kirane

Utarein Jo Aangan Ko Sunhera Sa Karne

Mann Ke Aandheron Ko Roshan Sa Kar Dein

Thithurti Hatheli Ki Rangat Badal DeinKho Na Jaaye Ye Taare Zameen ParJaise Aankhon Ki Dibiya Mein Nindiya

Aur Nindiya Mein Meetha Sa Sapna

Aur Sapne Mein Mil Jaaye Farishta Sa Koi

Jaise Rangon Bhari Pichkari

Jaise Titliyan Phoolon Ki Kyari

Jaise Bina Matlab Ka Pyara Rishta Ho Koi

Yeh To Aasha Ki Lehar Hain

Yeh To Ummeed Ki Sehar Hain

Khusiyon Ki Nehar HainKho Na Jaaye Ye Taare Zameen ParDekho Raaton Ke Seeney Pe Yeh Toh

Jhilmil Kisi Lau Se Ugey Hain

Yeh To Amboya Ki Khusboo Hain

Baagon Se Beh Chale

Jaise Kaanch Mein Choodi Ke Tukde

Jaise Khiley Khiley Phoolon Ke Mukhdey

Jaise Bansi Koi Bajaye Pedon Ke TaleyYeh To Jhonke Hain Pawan Ke

Hain Yeh Ghungharoo Jeewan Ke

Yeh To Sur Hain Chaman KeKho Na Jaaye Ye Taare Zameen Par

Muhaley Ki Raunak

Galiyan Hain Jaise

Khilney Ki Zid Par

Khaliyan Hain Jaise

Muthi Mein Mausam Ki

Jaise Hawayein

Yeh Hain Buzurgon Ke

Dil Ki DuwayeinKho Na Jaaye Ye Taare Zameen ParKabhi Baatein Jaise Dadi Nani

Kabhi Chalkein Jaise Mum Mum Paani

Kabhi Ban Jaaye Bhole

Sawaalon Ki Jhadi

Sannatey Mein Hansee Ke Jaise

Sooney Hothon Pe Khushi Ke Jaise

Yeh To Noor Hain Barse Gar

Teri Kismat Ho BadiJaise Jheel Mein Lehraye Chanda

Jaise Bheed Mein Apne Ka Kandha

Jaise Manmauji Nadiya

Jhaag Udaye Kuch Kahe

Jaise Baithe Meethi Si Jhapki

Jaise Pyar Ki Dheemi Si Thapki

Jaise Kaanon Mein Sargam

Hardam Bajti Hi Rahe

Jaise Barkha Udati Hai Bundiya...

Enjoy the lyrics !!!