Kahan se tu aati hai
Kahan ko tu jaati hai
Sapnon ko sajati hai
Apnon ko ley jaati hai
Baaghon mein jab behti hai
Kaanon mein kuch kehti hai
Aati hai nazar nahin
Saanson mein par rehti hai
Hawaa hai pawan hai
Vayu hai, purvaaee hai
Jeevan hai, jaan hai, ya parchaayee hai
Lene aayi hai ya kuch mere liye laayi hai
Poochoonga mein kya tujhse
Kahan se tu aayi hai
Tu kaun hai, tu kaun hai...
Tu jab chalti chalti badal
Jab chalti tu girtey patte
Tu kehti to diye jalte
Tu rukhe, dil dil se milte
Sagar ki lahron mein lehraati hai tu talay tul
Patton ke paayalon mein lati khan khan
Khat Khat koi nahin aisa ek jhonka hai
Kuch hai, such hai, ya tu ek dhoka hai
Tu kaun hai, tu kaun hai...
Kahan se tu aati hai
Kahan ko tu jaati hai
Sapnon ko sajati hai
Apnon ko ley jaati hai
Baaghon mein jab behti hai
Kaanon mein kuch kehti hai
Aati hai nazar nahin
Saanson mein par rehti hai
Tu kaun hai, tu kaun hai