Rokar ye beemar bola
Uttho sakina chadar ayi hai
Mil gya humein parda
Uttho sakina chadar ayi hai
Khul gye darwaze qaid k
Mil gyi rehayi qaid se
Ab nahi koi pehra
Uttho sakina chadar ayi hai
Mil gye hain sab zadey safar
Mil gye hain kano ke gauhar
Mil gya tera kurta
Uttho sakina chadar ayi hai
Khatm hue sab ranjo mehan
Khul gyi hain shano ki rasan
Ne dega koi sadma
Uttho sakina chadar ayi hai
Jata hai watan kunba
Muntazir hai teri sughra
Hai akeli wo dukhiya
Uttho sakina chadar ayi hai
Ho gye ahle haram reha
Jaege sab karbobala
Sotey hain waha baba
Uttho sakina chadar ayi hai
Thi roney pe tere sakhtiya
Ab na dega koi ghudhkiyaan
Ji bhar k karo girya
Uttho sakina chadar ayi hai
Neher par paani pine chalo
Ammu se aao milne chalo
Tum se hain wo sharminda
Uttho sakina chadar ayi hai
Zinda hi hai ghar ab mera
Qabr se talib aayi sada
Ab na ye kaho bhaiyya
Uttho sakina chadar ayi hai
Lyrics Submitted by Aliza