damnlyrics.com

Ya Hazrat E Abbas Alamdar Madad Kar

Ya Hazrate Abbas (as) Alamdar Madad kar

Lakhtay Jigar e Haidare Karrar Madad Kar

1) Ya Shah Tujhe sadqa Sarkare Madina

Faryad hai Faryad hai Saqaye Sakina s.a

hai Tere siwa koun Madadgar Madad kar

2) Ya Shah Tujhe sayyade Mazloom ka sadqa

Ya Shah Tujhe Asghare Masoom ka Sadqa

hoon banda ghunnahghar Alamdar Madad kar

3) Mushkil mein Tere naam ki di jisne duhayi

ik pal mein Teri zaat hai imdad ko ayi

kyon mere liye der hai Sarkar Madad kar

4) bighri hui Maula meri taqdeer bana day

Hasnain a.s ke sadqay mein mujhe gham se churaday

kismat ke mere malko mukhtar madad kar

5) Duniya mein koi misl nahi Teri wafa ki

jaa'n Tune Muhammad s.a.w ke niwase pe fida ki

main ek nazar ka hoon talabgar Madad kar

6) Sarkar ghazanfar ki bhi ho jaye rihayi

Ya Hazrate Abbas a.s karo ukhda khushayi

khab tak rahon mushkil mein ghirafttar Madad kar

Lyrics Submitted by Dua

Enjoy the lyrics !!!