damnlyrics.com

Ya Nabi Nuskha-e-Taskheer

Ya Nabi nusqaye tasqeer ko mai jaan gaya

Usko sab maan gaye apko jo maan gaya

Har makaan walon ko karta hua hairan gaya

Lamakaam me mera paigambare zeeshan gaya

Doobte doobte jab unki taraf dhyan gaya

Leke sayil ki taraf khud mujhe toofan gaya

Ishqe sarkare do alam ke siwa kuch bhi nahi

Zindagi teri haqeeqat ko mai pehchan gaya

Gaib ka jaan ne wala jo unhe maine kaha

Baat emaan ki thi kufr bura maan gaya

Jaise barson ki mulaqaat rahi ho unse

Qabr me dekhte hi mai unhe pehchan gaya

Lyrics Submitted by Mohammed Fayaz qadri

Enjoy the lyrics !!!