Aao Ek Kaam Karen - Nadeem Sarwar
| Page format: |
Aao Ek Kaam Karen Lyrics
Ay mere desh-e ke logo meri awaaz suno
Meri awaaz-e me maktal ka ye aghaaz suno) x2 (
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Jis tarha saniye zehra ne ise aam kiya
Ik-e zanjir-e ki jankar ne wo kaam kiya
Jis tarha se shohada ne safar-e sham kiya
Yani nezo se bulandor bhi islam kiya
Ham isi darse qayadat ki ada aam kare. (
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Ye jo majlis he madawa hay har ek gham ke liye
Ek sawghat he ye bidaye purnam ke liye
Soze dil chahiya tezib muharram ke liye
Koyi tafreeq-e nahi halkae matam ke liye
Rone walo ke liye farsh-e aza aam kare (
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Ao dekho ke ye khayma ye alam kiska hai
Khoon se naam ye sehra pe rakam kiska ka hai
Ab bhi tarik se aghe ye kadam kiska hai
Sari duniya ko batade ke ye gham kiska hai
Sari duniya ke liye gham ki fiza aam kare (
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Tum bhi sine me ye gham leke chalo ham bhi chale
Tum bhi inkar-e sitam leke chalo ham bhi chale
Tum bhi hak ka ye hasham leke chalo ham bhi chale
Tum bhi ghazi ka alam leke chalo ham bhi chale
Har zamane ke liye zikre wafaa aam kare. (
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Aisa ay jaaz to tarik-e ne dekha na suna
Jo diya noor ke hato shabe ashur buja
Sab shahido ke dilo me wo diya jake jala
Aj bhi roshni deta hai wohi ek diya
Har andhere me wohi ek diya aam kare. (
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Bad shabbir ke apne bhi he aghyaar bhi hai
Khandane bani hashim bhi hai ansar bhi hai
Hur bhi hai john bhi hai akbaro jarrar bhi hai
Jane dene ke liye subho se tayyar bhi hai
Aise maktal ki fizaa ko ba khuda aam kare. (
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Kafela rehgaya ik dashte bala me pyasa
Jinki miras thi kausar unhe pani na mila
Ye sabile unhe pyaso se wafaa he ba khuda
Koi pyaasa na rahe thi sakina ki dua
Har zamin par ye sakina ki dua aam kare. (
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Rehnumaa katle huwa katle kayadat na hui
Ik imam or bara khatm-e imamat na hui
Jisme rondhe gaye pamal shariat na hui
Chadare chin gayi batil ki hukumat na hui
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Mere mawla mere aka ye tera gham na ruke
Kitne tufaan bhi hilalaaye magar ham na ruke
Ay azadar ye majlis ye muharram na ruke
Wakt-e kitna hi badal jaye ye matam na ruke
Ye shahido ka he matam ba khuda aam kare. (
Kya khabar tum na raho) x2 Kya khabar ham na rahe
Ao ek kaam kare, karbala aam kare) x2
Lyrics Submitted by Saliim Abbas