DamnLyrics - The center provides all the lyrics

Abbas Ke Marnay Ki Khabar - Hashim Sisters



     
Page format: Left Center Right
Direct link:
BB code:
Embed:

Abbas Ke Marnay Ki Khabar Lyrics


Bismillahir Rahman Nir Raheem
Ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
sakte mein abbas key marne ki khabar se..(2)
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
pyaaso ne giraya hai yu paani ko nazar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
sakte mein abbas key marne key khabar se(2 in chorus)
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai(1 in chorus)
1. Kya jaane ke kis mod pe le aayi hai qismat
ab mashk uthane ki bhi karte nahi zehmat
sab kooze lagaye hue baithe hai jigar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
Chorus
2. Beyaaro madadgar hai ab shahe madina
sar apna jhukaye hue roti hai sakina

zainab hai pareshaan rida chinne ke darr se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
Chorus
3. Fizza bhi kisi bibi ko kab tak de dilase
darr hai ke na dum tod de seh roz ke pyaase
abbas e dilawar ki shahadat ke asar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
Chorus
4. Begoro kafan laashe shohada ke pade hai
shabbir sue dasht e bala dekh rahe hai
zakhmi hai koi teer se aur koi tabar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
Chorus
5. Pal bhar ke liye chayn nahi paati hai kulsoom
ek laashe ke manind nazar aati hai kulsoom
nikli thi dilawar ke bharose pe jo ghar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
Chorus
6. Jin bachho ne paani ko sakina se kaha tha
jin bachho ne sookha hua mashkiza diya tha
nazre wo milate nahi bachhi ki nazar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
Chorus
7. Ye baat alag hai ke sulagta hai kaleja
paani ka magar koi bhi shikwa nahi karta
karte hai bayaa'n haale jigar deedar e tarr se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
Chorus
8. Asif sare maidan e sitam rote hai pyaase
mahum jinhe deta bhi nahi koi dilaase
sehme hue masoom hai sab baaniye shar se
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
Chorus
sakte mein abbas key marne ki khabar se..(2)
ab koi nahi kehta hame pyaas lagi hai
Allahume salle ala mohamaddin wa ale mohammad wa ajil farjahum
This was a small effort from my side for the Ahulbayt (as)
Forgive me if any errors
Pray for my family and me
Lyrics Submitted by Mehek Mehmood Ladiwala

Enjoy the lyrics !!!