Bakhsh Deta To Baat - Aziz Mian
Page format: |
Bakhsh Deta To Baat Lyrics
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Ay gunaho ke jaachne waale,bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Ay Allah kadam kadam pe bhrosa tha Teri rahmat ka
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Wo Kon hai jinhe tauba ki mil gai fursat,hame gunaah bhi krne ko zindagi Kam hai,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Hum paida huwe ajaan Hui,jab mre Hui namaz itni si dair ka tu hisab leta hai,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Ek gunaah wo bhi naujawani ka,Kya bhrosa hai zindagani ka,pr Jo tera aitbar karte hai, hashr Tak intezar krte hai,
Ay Allah sun ye rind itne gunaah nhi krte,jitne parhezgar krte hai,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Munkire naimte khuda rahna,are kufr hai itna parsa rahna,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Hum ne gunaah kiye to numaya hua Karam,
Hum begunaah Hote to kahta Kareem Kon,
Farishte puchenge mehsar me paak baado se,gunaah q na kiye Kya khuda Raheem na tha,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Jab jaunga Mai kabr me farishte aayenge puchenge min rabbok min dinok,
To kah dunga Mai ay Allah, Mai Tere in farishto ko hisab to dedu,
Mgr TU bhi soch le inhone mujh ko sajdah Kiya tha Mai wo hi Adam hu
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Jo naam-e-aamal Mera hath se siya hai,lkn mere mabood farishto ne likha hai,
Aur TU daan-o-deen-o-tujhe har Shay ka pata hai,
Ye roz-e-azal mujh se khilafat pe khafa hai,
Iski tehreer pe dojakh ki ijazat kaisi,bakhs de warna Mai kah dunga khilafat kaisi,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Mai Banda ye bhi durust,tu mabood ye bhi durust,
Mai abd ye bhi durust,TU kareem ye bhi durust,Mai gunehgar ye bhi durust,
Ay Allah ab hisab Lena hai aaja hisab lele,
Mai gunaah Lau tu Karam la,
mere gunaah jyada ho jahannum Dede,aur tera karam jyada ho zannat dede,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Ay Allah tu ne hisab leke di jannat to fir ye badla hua, Maja to tab hai ki bakhse hisab se phle,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Hum Adam ki hain aulad sun ay kawre mehsar,
Zannat zannat to hame baap ki virasat me milegi,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Mehsar me Teri Shaan nazar aayegi,aur duniya ye parishan nazar aayegi,
Ay Allah sun bakhse ga na agr hum jaise gunahgaro ko,are zannat Teri weeran nazar aayegi,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Ay Allah aisi aisi zanaat ko Kya kru le Kar,jisme lakho baras ki hoorein ho,
Bakhs deta to baat kuch bhi na thi,
Lyrics Submitted by AaMir sHaiKh,