damnlyrics.com

Bus Itna Bata Do

Jab khafila pahuncha tha Madine ke zara paas

maqtal may hua kya ye suna usne basad yaas

kat-ta tha jigar dil may nidamath ka tha ehsaas

har ek se ye poochti thi madar e abbas

jab gardan e Shabbir pe khanjar wo rawan tha

bas itna batado mera Abbas kahan tha

Zehra ke pisar jane Nabi Sayyade wali

Akbar ke kalejay se sina kaise nikali

jab khaak pe dum tod-ta Laila ka jawan tha

bas itna batado...

maidan may baysheer ko jab laye thay Shabbir

nanhe Ali Asghar ke jo gardan pe laga teer

jab baap ke hathon pe pisar tashna-dahan tha

bas itna batado...

aqa mera maidan may kyun rehgaya tanha

haa doodh na bakhshungi mai ye kya kiya beta

Zehra ka pisar khaak pe jab girya kuna tha

bas itna batado...

jab bibiyan jalte huwe qaimon ke thi andar

jab Zainabe dilgir ki cheeni gayi chadar

jab gardane beemar may wo tauqe giran tha

bas itna batado...

Abid ko liye phirti thi jab Zainab-e-Muztar

jab aag lagayi gayi cheena gaya bistar

phaila huwa jab sham-e-ghariban ka dhuan tha

bas itna batado...

jab shame ghariban may bhi pyase rahe bache

jab dukhtare Shabbir ke lagte thay tamache

jab uska jigar karbe yateeme se tapan tha

bas itna batado...

Zainab ne kaha usko wafa ka tha bahot khwas

jab zibha huwe bhai tho zindan na thay Abbas

bin haton ke tha ghairate ilyaas ka laasha

saahil pe tadapta raha Abbas ka laasha

ye sun ke kiya shukr magar phir bhi hai ehsas

ab tak ye qamar poochti hai Madare Abbas

jab gardane Shabbir pe qanjar wo rawan tha

bas itna batado...

Lyrics Submitted by ruwaida shaik

Enjoy the lyrics !!!