DamnLyrics - The center provides all the lyrics

Batado Sub Ko Zamane Walon - Shadman Raza



     
Page format: Left Center Right
Direct link:
BB code:
Embed:

Batado Sub Ko Zamane Walon Lyrics


Bata do sub ko zamanay walon,
Jo aj har samt roshni hai,
Janab-e-Zainab (s.a) ka noor hai ye,
Jo shaam mein ab sahar hui hai.
Kuch aese paigham-e-haq sunaya,
Har aik batil ka qasr dhaya,
Yazeediyat ka sitam mitaya,
Tou khaibar-e-sham ko giraya
Qasam Khuda ki Ali (a.s) ki Beti (a.s),
Ali (a.s) ki tasweer ban gai hai.
Nahi hai batil mein zor itna,
Kay ab asar wo dikha bhi paye,
Nahi hai taqat yazeediyat mein,
Kay sar wo apna utha bhi paye,
Janab-e-Zainab (s.a) ne apne khutbon se,
Uski shahragh hi kaat di hai.

Jhuki hai sajday mein ye zameenain,
Hai qarz aflaak per tumhara,
Salaam tum per Ali (a.s) ki Beti (a.s),
Salaam aye Yaadgaar-e-Zehra (s.a),
Wo jis se roshan hain chand sooraj,
Tumharay ghar ki wo roshni hai.
Wo teri dargah kay minaaray,
Aur ik chamakta hua wo gumbad,
Wo noor hota hai us se paida,
Jahan mein jis ki nahi koi had,
Har aik zair kay wastay ab,
Lehad teri toor ban gai hai.
Wahan pay pabandiyan thein aesi,
Kay band thi har rah-e-mawaddat,
Wo shaam aesa tha shaam-e-batil,
Jahan pay Zikr-e-Ali (a.s) tha bid'at,
Wahan tumhari zuban kay dam se,
Har ik zuban per Ali (a.s) Ali (a.s) hai.
Mein apnay afkaar ki zuban se,
Abad talak guftugu karunga,
Mere yaqeen ho salaam tujh per,
Kay mar kay bhi mein nahi marunga,
Rakhe jo baad-e-qaza bhi zinda,
Wo Aal-e-Ahmed (sawaw) ki dosti hai.
Meri namazain, meri ibadat,
Meri riyazat ye kya hai Majid,
Hamesha jo Shadman rakhegi,
Wo bus Ali (a.s) ki sana hai Majid,
Kare Farishtay bhi fakhr jis per,
Wo bandagi inki bandagi hai.
Bata do sub ko zamanay walon,
Jo aj har samt roshni hai,
Janab-e-Zainab (s.a) ka noor hai ye,
Jo shaam mein ab sahar hui hai.
Lyrics Submitted by Muhammad

Enjoy the lyrics !!!