Ghabraigi Zainab - Shahid Baltistani
Page format: |
Ghabraigi Zainab Lyrics
Ghabrayegi zainab – 2
Bhayya tumhe ghar jake kaha, paayegi zainab
Ghabrayegi zainab
Ghabrayegi zainab – 4
Pardes hai gurbat hai – 2
kaha jayegi zainab
Ghabrayegi zainab – 4
1. Tum saniye zehra ki garibi ko samajna
Gaazi ki kasam hai tumhe bhai na tadapna
beparda teri laash pe jab aayegi zainab
2. Kis tarha guzarungi qayamat ka wo lamha
jab shaame gariba me mera bhai na hoga
baba se nigahe na mila paayegi zainab
3. Insaaf karo kaise behen dil ko sambhale
is gunj ka ehsaas muje maar na daale
baagi ki behen shaam me kehlayegi zainab
4. Tum meri tarha gam ye akele hi sahoge
wada karo ye baat na bano se kahoge
zindaan me sakina ko jo dafnayegi zainab
5. Dekhi nahi jaayengi wo mayoos nigahe
sughra jo use deti hai jine ki duayen
Akbar ke bina jab bhi watan jaayegi zainab
6. Kya kya hua bazar me batlaungi kaise
Abdullah – e – jafar ko mai samjaungi kaise
jab nil rasan ke unhe dikhlayegi zainab
7. Bhai pe nazar karke takallum wo pukari
bhayya mai samajti hu tabiyat ko tumhari
accha ye sada lab pe nahi laayegi zainab
Lyrics Submitted by Mariyam fatima