zahid-e-be aman naaz-e-taqwa na kar yun Namazen dekhana zaruri nahi
Dil agar na jhuke sajda bekar hai sirf sar ko jhukana zaruri nahi.
Jo mere MUSTAFA ka wafadar hai bas wahi bagh-e-jannat ka haqdar hai,
Dushman-e-MUSTAFA tu kahan jayega sab ka jannat me jana zaruri nahi .
GAUS ka fateha tum karo shan se shirni bantna log pahchan ke ,
Kawwa khane ki lat pad gayi ho jise us ko Murgha khilana zaruri nahi.
Maslak-e-AALA HAZRAT ka ailan hai haan yehi ishqu-e-Ahmad ki pahchan hai ,
Dil me bughz-e-NABI leke jo mar gaya us ki maiyat me jana zaruri nahi.
Ush siyasat se matlab hume kuchh nahi deen-o-majhab ka jis se nahi fayeda,
Sochiye surkhuru kaise ISLAM ho sirf jhanda uthana zaruri nahi.
MASJID-E-BABRI se ye aayi sada har elaqe ki masjid ko aabad kar,
Apne sajdon ki pehle hifazat to kar khali masjid banana zaruri nahi.
ROUZA-e-MUSTAFA jab ho pesh-e-nazar aisa sajda karo jo na aaye nazar ,
Dil ka sajda nigahon se ho jayega apne sar ko jhukana zaruri nahi
Ush ko JANNAT ki khushbu na bhaye ASAD hashr tak us ki khushbu na jaye ASAD
Jis ko pyyare NABI ka psina mila us ko khushbu lagana zaruri nahi.
Lyrics Submitted by SHAHID QUADRI