Aina Ali Akbar - Safdar Abbas Zaidi
| Page format: |
Aina Ali Akbar Lyrics
Aina ali akbara, aina ali akbara.... 4
Sine pe barchi khaak gira he koun sare maida
Qaime ke andar cheeq rahi he kis ki dukhiya maa
Kiska lasha dhoond rahe he ran me shahe zeesha
Thokar kha kha kar kehte he beta tum ho kaha
aina ali akbara..... 4
BHooke pyase ran ko gaye ho aye beta jab se
Phupiya he bechain tumhari qaime me tab se
Khaak bichayi darpe khaadi he socho to kab se
Haath utha ke jeene ki karti he dua rab se
Aina ali akbara..... 4
Dekh ke tum ko karleta tha nana ka deedaar
Baad tumhari lamha par bhi jeena hua dushwar
Jaane kiski nazar lagi kin ankho ka tha khwaar
Chand se seene par barchi se kisne kiya he waar
Aina ali akbara...... 4
Tum to eik awaaz pe bola karte the dilper
Khamushi se aaj tumhari dilpe lagane setar
Marjaunga mai moqtal me kha kha kar thokar
Raah ha tumhari dekh rahi he khaime me madar
Aina ali akbara..... 4
Uth uth kar mai girpard ta hu koi nahi he paas
Aoun o mahoammad maare gaye qasim haina ab abbas
Ran me aakela dekh raha hu har sub chashmo yaad
Athara wa saal lena aaya laal ko mere laal
Aina ali akbara..... 4
Nouha me he shamshad he tere dard ka wo manzar
Jinno malak insan hi nahi khud rone lage pathar
Kis ke sila mehshar me tujhe bakshenge ali akbar
Moula ke is jumle par khurban ho behrobar
Aina ali akbara.... 4
Lyrics Submitted by Meer raza hussain moosavi